meri choukhat pe chal ke aaj chaaron dham aaye hain
bajaao dhol swaagat mein, mere ghar ram aaye hain
katha shabari kee jaise jud gayi meri kahaani se
naa roko aaj, dhone do charan aankhon ke paani se
bahut khush hain mere ansu ki prabhu ke kaam aaye hain
bajaao dhol swaagat mein, mere ghar ram aaye hain
tumko paa ke kya paayaa hai, srshti ke kan-kan se pucho
tumko khone ka dukh kya hai, kaushalya ke man se pucho
dwaar mere ye abhaage, aaj inake bhaag jaage
badi lambee intazaari huee, raghuvar, tumhaaree, tab aayi hai sawari
sandese aaj khushiyon ke hamaare naam aaye hain
bajaao dhol swaagat mein, mere ghar ram aaye hain
darshan paa ke, he avtari, dhanya hue hain nain pujari
jeevan-naiya tumne tari, mangal bhawan, amangal haaree
(mangal bhawan, amangal haaree)
nirdhan ka tum dhan ho, raghav, tum hee ramayana ho, raghav
saba dukh harnaa, avadh bihari, mangal bhawan, amangal haaree
(mangal bhawan, amangal haaree, mangal bhawan, amangal haaree)
charan kee dhul le loon main, mere bhaghavaan aaye hain
bajaao dhol swaagat mein, mere ghar ram aaye hain
meri choukhat pe chal ke aaj chaaron dham aaye hain
bajaao dhol swaagat mein, mere ghar ram aaye hain
Writer(s): Manoj Muntashir, Srishty Pranov Kumar Adityadev