Teri moorti ko dekhaa to aisaa lagaa…
Jaise karunaa kaa roop, jaise snehal swaroopJaise shakti kaa poonj, jaise praarthanaa ki goonjJaise bhakto kaa swaas, jaise niraasho ki aasJaise kadakti dhoop me, mamtaa ki chaav…
Dekhi saadhutaa ajod, liye jivan me modDekhaa dinataa kaa bhaav, dekhaa saral svabhaavDekhaa mohak roop, jaise Shriji ka swaroopTum ho nirsodhbuddhi ke maharaajaa...
Sevak sevako kaa, masihaa beheno kaaJaise kraanti kaa vir, jaise ramtaa fakirAkshay tej kaa poonj, teri anokhi hi sujKare jatil samasyaa kaa, pal me upaay...
Jaise maitri kaa paigaam, Yogiji kaa bhaktigaanSahajanandi chetnaa, har le man ki vednaaMahimaa teri apaar, karne chaitnaya kaa vyaapaarAyaa anirdesh kaa shaahi, saudaagar...
Tu hai divyaataa kaa dhodh, man ke taale avrodhKaif aur masti amaap, akhand dhun aur jaapChale pravaah ke virudh, chede mayaa se jangDekar khuli tu chunauti shoorviur yodhaa...
Anant gnaan kaa to shrot, bhakto me tu othprotAnoopam aatmiyataa, sarvadeshiyataaKartaa prabhu kaa hi kaaj, kar le mere dil pe raajHe Gunatit samaj ke, betaaj baadshah