Chinta se bhara dil, sai ko dede(2)Tujhe dono jahan ka, sukh chain milegaPhir pathjhad me bhi, teri bagiya me(2), sai rehmat ka, har phool khilegaChinta se bhara dil, sai ko dede
Kabhi din ujilya, kabhi rain andheri, Kkabhi man hariyali, kabhi jholi khaali(2)Woh sab kuch jaane, kab kya dena hai, har pag pe karega teri rakhwaliTu pakad ke rakhiyo, vishwaas ki dori (2)Woh jaha mila tha, phir wahi milegaChinta se bhara dil, sai ko dede
Sweekar kiya hai, hume sai ne jab se, jag ko pehchaana, khud ko pehchaana(2)Mushkil se mili hai, satgh-guru ki chowkhat, mushkil se mila hai, hume ek thikanaLagta hai sabhi hum, kismat ke dhani hai(2), kaho aisi jagah se, abb kon hilega
Chinta se bhara dil, sai ko dedeHo sakta hai ekk din tumhe neend aajyee, tum rom rom ko jara bhor ke rakhna(2),Band bhi ho jaye jag ke darwaze, tum man ki khidki sada khol ke rakhnaIss rat me sai, kab chupke chupke(2), apne bhakton se, khud aan milegaChinta se bhara dil, sai ko dede(2)