Shri Darbar Diary
Shri Darbar


Bhala kisi ka kar na sako

Bhala kisi ka kar na sako

To bura kisi ka mat karna
Pushp nahi ban sakte to
Tum kaante ban kar mat rahna - 3

Ban na sako bhagwan agar tum
Kam se kam insan bano
Nahi kabhi shaitan bano
Nahi kabhi haivan bano - 2

Sadachar apna sako to
Papo meinin pag mat dharna
Pushp nahi ban sakte to tum
Kante ban kar mat rahna

Bhala kisi ka kar na sako to
Bura kisi ka mat karna
Pushp nahi ban sakte to tum
Kante ban kar mat rahna

Satya vachan na bol sako to
Jhooth kabhi bhi mat bolo
Maun raho to hi aachha
Kam se kam vish to mat gholo - 2

Bolo yadi pahle tum tolo
Phir muh ko khola karna
Pushp nahi ban sakte to tum
Kante ban kar mat rahna

Bhala kisi ka kar na sako to
Bura kisi ka mat karna
Pushp nahi ban sakte to tum
Kante ban kar mat rahna

Ghar na kisi ka basa sako to
Jhopadiya na jala dena
Maraham patti kar na sako to
Khare namak na laga dena - 2

Deepak ban kar jal na sako to
Andhiyara bhi mat karna
Pushp nahi ban sakte to tum
Kante ban kar mat rahna

Bhala kisi ka kar na sako to
Bura kisi ka mat karna
Pushp nahi ban sakte to tum
Kante ban kar mat rahna

Amrit pila sako na kisi ko to
Jahar pilate bhi darna
Dheeraj bandha nahi sakte to
Ghaav kisi ke mat karna - 2

Ram nam ki mala lekar
Subah shaam bhajan karna
Pushp nahi ban sakte to tum
Kante ban kar mat rahna

Bhala kisi ka kar na sako to
Bura kisi ka mat karna
Pushp nahi ban sakte to tum
Kante ban kar mat rahna

Share With Your Family & Friends

Official Youtube Channel

Shri Darbar Official Youtube Channel

Short URL

shridarbar.com/u/D-PMpj6

Create

Delete Parmanently

Are you sure you want to delete this ?

Welcome


Sign up / Login to unlock all features & never miss out on the latest Content, Motivational speech, articles and many more.



Sign in with Google
or
  Sign in with email



No account? Create one


Click "Sign In" to agree to Shri Darbar's Terms of Service and acknowledge the Shri Darbar's Privacy Policy applies to you.